Thursday, May 3, 2012

Tere Jaane Ka Asar Kch Aisa Hua !!


Tere Jaane ka asar kuch aisa hua,
Tu to naa rahi, bas teri yaad rah gayi..

Jab tak thi tu, tujhe khush na kar paaya,
Ab sochta hu, tu hoti to bahut khush hoti..

Soch kar kya fayda, jab thi to kadr na thi,
Ab na hai, tab ahmiyat samaj me aayi..

Sochta hu, hoti to namumkin ko mumkin kar deta,
Lekin pagle ko kya pata, ye naamumkin kabhi mumkin naa hogi..

Wo nahi rahi bus uski yaad reh gayi,
Meri palko me uski aas reh gayi.....

Koun sa bahana hai usko bhulane ka,
Har kosis ki lekin bas aas rah gayi...

No comments:

Post a Comment